surkhiyan padh ke in akhbaron ki dar lagta hai sara aalam kisi barud ka ghar lagta hai baith jaengi ye diwaren kisi bhi lamha apne ghar mein bhi to rahte hue dar lagta hai apne hamsae ke haalat hain apne jaise apne hi ghar ki tarah un ka bhi ghar lagta hai aaj bhi hath ki rekha ko muqaddar samjhen billiyan kat len raste ko to dar lagta hai bol ke sach hi adalat mein hui ruswai ab to sach ye hai hamein sach se bhi dar lagta hai