kuchh sila hi na mila ishq mein jal jaane ka shama ne lut liya soz bhi parwane ka zabt-e-fariyaad ki be-sud tawaqqo dil se zarf kyun dekhiye tute hue paimane ka mera mitna nahin aasan mohabbat ki qasam maut hai nam tere dil se utar jaane ka hashr tak roegi duniya-e-mohabbat mujh ko silsila khatm na hoga mere afsane ka maut ki nind se insan ko jaga deti hai jis haqiqat mein zara rang ho afsane ka is tarah mujh se mukhatab hai zamana jaise hosh ki fikr bhi ek farz ho diwane ka un ke andaz-e-sitam ka hai taqaza 'basit' ahd kar lijiye mar mar ke jiye jaane ka