swang bharta hun tere shahr mein saudai ka ki yahi haal hai andar se tamashai ka bazm ke haal pe ab hum nahin kudhne wale intizamat mein kya dakhl tamashai ka hum to sau jhut bhi bolen wo agar hath aae koi theka to uthaya nahin sachchai ka dil-e-khun-gashta ko ja ja ke dikhaen yaro shahr mein kaam nahin lala-e-sahrai ka log kahte hain hawas ko bhi mohabbat jaise nam pad jae mujahid kisi balwai ka ye nahin hai ki nawaze na gae hon hum log hum ko sarkar se tamgha mila ruswai ka un ko tuta hua dil hum bhi dikhaenge 'salim' koi puchh aae wo kya lete hain banwai ka