dil ke nagar mein chaar taraf jab gham ki duhai baith gai sar pe hamare dast-e-qaza se tegh-e-judai baith gai hum hain faqir allah ke yaro phir is ka hai parekha kya gar hum pas bhi aa kar koi bahni mai baith gai sun ke ada-e-gham ki tere sabr-o-shakeb hain bhagne par panw thaharne mushkil hain jab dhak parai baith gai ai dil us bankit se hargiz shughl na kar tu lakdi ka hath qalam hai phir tera gar ek bhi ghai baith gai tegh-e-jafa li myan se apne jab us jaan ke dushman ne sar ko jhuka kar apne apne, sari khudai baith gai 'mushafi' kya puchhe hai diwane haal safa-e-dil ka mere tha to ye aaina raushan par ab kai baith gai