syah shab ki udas aankhon mein nur hoga zarur hoga

syah shab ki udas aankhon mein nur hoga zarur hoga
use andhere se dosti par ghurur hoga zarur hoga

ye marhala bhi hai is masafat mein tera rasta kahin nahin hai
to band aankhon se koi rasta zuhur hoga zarur hoga

ye rabt tuta nahin hai aakhir kaha-suni se to baat kya hai
hamein to lagta hai zabt ka sab qusur hoga zarur hoga

ye rahbari hai ye rahzani hai ye kaisi afwahen ud rahi hain
ye ishq sidha sa ishq-e-kaamil huzur hoga zarur hoga

yahi hai la-hasili hamari yahi faqat hasili rahegi
jab ishq ko hi tu kah raha hai futur hoga zarur hoga

wo ek takhallus jo ek wade ke chalte hum ne chhupae rakkha
hamari ghazlon se us ka charcha zarur hoga zarur hoga

wo ek tasawwur hai jo mayassar hai wasl ho kar sarapa mujh ko
wo ek tasawwur jo jism hoga to dur hoga zarur hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close