ta-ba-kai tir pe o tir lagane wale

ta-ba-kai tir pe o tir lagane wale
dekh mar jaen na ye naz uthane wale

jaan de dunga kaha main ne to wo kahte hain
aise dekhe hain bahut jaan se jaane wale

jis tarah apni basar hoti hai ho jati hai
khush rahen shad rahen dil ke jalane wale

jazb-e-dil chahe hai ulfat mein asar ho sahib
bin bulae hi chale aate hain aane wale

shukr karte hain shikayat ki jagah hum har bar
hum se kam honge tere jaur uthane wale

dard-o-gham ranj-o-alam hairat-o-yas-o-hirman
yahi mehman to hain aa ke na jaane wale

un ke kuche se main guzra to kaha shokhi se
kyon idhar aate hain sunte bhi ho jaane wale

jaan dene ko hain tayyar 'jarih'-e-muztar
tum ne dekhe nahin kya naz uthane wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close