wo baat baat mein aise nishan chhoD gaya

wo baat baat mein aise nishan chhod gaya
sulagte dil ko chita ke saman chhod gaya

na jaane kaun si dhun mein tha qatilon ka hujum
tadapte jismon mein thodi si jaan chhod gaya

jise main apne masail ka hal samajhta tha
wo jab gaya to bahut imtihan chhod gaya

hamara raaz teri bazm tak gaya kaise
hai kaun jo pas-e-diwar kan chhod gaya

wo aaj tak hai muhajir ke nam se badnam
jo shakhs taish mein hindostan chhod gaya

shikayaten bhi karen hum 'nawab' to kaise
wo lafz chhin ke munh mein zaban chhod gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close