ta-ba-lab aai fughan dil se jo tasir ke sath

ta-ba-lab aai fughan dil se jo tasir ke sath
dushmani ho gai taqdir ko tadbir ke sath

nam taqdir ka kyon lijiye tahqir ke sath
kuchh adawat to na thi katib-e-taqdir ke sath

main idhar chup hun udhar un ka tasawwur khamosh
ek taswiri bana baitha hun taswir ke sath

fasl-e-gul aa gai ya ye nahin ya main nahin ab
nibh sakegi na meri panw ki zanjir ke sath

sar hatheli pe liye aae hue hain sar-baz
khelne ke liye qatil teri shamshir ke sath

ta-ba-kai ru-e-haqiqat pe majazi ye naqab
dil ko bahlaun main kab tak teri taswir ke sath

apne daman se wo khud ponchh den badh kar aansu
josh-e-gham dekh len 'nawwab' jo tasir ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close