tira-baKHti to na badli gardish-e-ayyam se

tira-bakhti to na badli gardish-e-ayyam se
sham badli subh se aur subh badli sham se

tark-e-ulfat ki qasam kha le gham-e-ayyam se
kaam ye bhi ho nahin sakta dil-e-nakaam se

kitne armanon ka khun tha ye na dekha ek ne
chand qatre sab ne dekhe jo gire the jam se

jhilmila kar bujh gae aakhir ko be-roghan charagh
khushk aankhen sath kya detin sahar tak sham se

parsai ka lahu tak zahidon ne pi liya
badh ke hain angdaiyan teri chhalakte jam se

tum kaho diwana mujh ko main karun takmil-e-ishq
tum ko matlab nam se hai mujh ko matlab kaam se

sarhad-e-mulk-e-adam par muntazir hain sur ke
panw phaila kar lahad mein soen kya aaram se

subh-e-ishrat dekhne ko kis sahaare par jien
ek charagh ummid ka tha wo bhi gul hai sham se

khar-e-gham chubhte hain 'nawwab' aaj jab dil mein to phir
bistar-e-gul par bhi kya nind aaegi aaram se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close