ta-dasht-e-adam aah-e-rasa le gai mujh ko jab khak hua main to hawa le gai mujh ko koson mai-e-gulgun ki hawa le gai mujh ko ye lal pari ghar se uda le gai mujh ko muddat se na milti thi kahin rah adam ki us shokh ke kuche mein qaza le gai mujh ko tha zoaf mein sauda kisi sahra-e-junun ka wahshat mere ghar aa ke bula le gai mujh ko 'jauhar' taraf-e-kucha-e-jaanan jo gaya main kya jaane kidhar ki ye hawa le gai mujh ko