ye jaur ahl-e-aza par mazid karte rahe sitam-shiar moharram mein id karte rahe hamare dam se raha daur-e-baada-paimai ki apne khun se hum mai kashid karte rahe gila to ye hai ki jitne amir-e-shahr hue gharib-e-shahr ko sab na-ummid karte rahe kiya hai hum ne hamesha hi karobar-e-ziyan ki sasta bech ke mahnga kharid karte rahe kisi se shahr-e-khamoshan mein kahte sunte kya hum apne aap se guft-o-shunid karte rahe wo zer-e-khanjar-e-qatil na tha gulu koi wo ek khayal tha jis ko shahid karte rahe mera kalam to kya naqdin-e-fan 'mohsin' kalam-e-haq mein bhi qata-o-burid karte rahe