ta-hadd-e-nazar barhami-e-kaun-o-makan hai

ta-hadd-e-nazar barhami-e-kaun-o-makan hai
dekhe se to lagta hai ki aaghaz-e-jahan hai

ek aan hi khinchte hain nigahon mein do manzar
ye aalam-e-maujud haqiqat hai guman hai

dekhe to bahut dair-o-haram tak kalisa
duniya mein magar tujh sa hasin koi kahan hai

har zarra tera paikar-e-partaw nazar aaya
ye soch raha hun tu nihan hai ki ayan hai

bulbul ke ye naghme ki hawaon ki ye sarsar
karte hain bhajan tera ki aawaz-e-azan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close