ta-hashr zid mein subh ki aati rahegi sham gul honge jo charagh jalati rahegi sham har sham le ke aaegi paigham subh ka har subh jal ke dhup mein lati rahegi sham shamen jala ke sham se nafrat karenge log logon ko pyar karna sikhati rahegi sham tazin-e-chashm ho na ho kajal ki dhaar se be-waqt bhi jahan mein aati rahegi sham jaise hinai hath ho duba sharab mein manzar hamein wo roz dikhati rahegi sham jaane lagengi bagh se jab din ki raniyan raaton ki raniyon ko jagati rahegi sham thak kar girega to ye sambhaalegi god mein suraj ko tutne se bachati rahegi sham insan to phenk denge libas-e-haya ko dur un ka har ek gunah chhupati rahegi sham kisht-e-falak mein dal ke khun-e-shafaq ki khad taron ki ek fasl ugati rahegi sham kirnen kuchh aaftab ki 'jazib' samet kar moti rida-e-shab pe sajati rahegi sham