ta-subh sari raat wo rahti hai ashk-bar

ta-subh sari raat wo rahti hai ashk-bar
shabnam kisi ke gham mein abhi tak hai sogwar

aata hai raste mein nazar jab kabhi-kabhaar
dekhe hai ajnabi ki tarah mujh ko bar-bar

lamhe mein ek raaz-e-mohabbat ko padh liya
ek roz ittifaq se aankhen hui thin chaar

manind-e-qais nargha-e-wahshat mein ghir gaya
sahra mein kyon bagula udata raha ghubar

shirin se bhik lene mein qasir hai tisha-gar
hathon mein aable hain to jholi hai tar-tar

thi rasm-e-rukhsati ya janaza tha dosh par
shanon pe kuchh uthae hue aadmi the chaar

jab chhod kar chala gaya wo jaan-e-gulsitan
ab kya karegi aa ke chaman mein mere bahaar

'shahid' hai us ke bas mein meri maut aur hayat
chahe rihai de de ya le jae su-e-dar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close