ta-umr aashna na hua dil gunah ka khaliq bhala kare teri tirchhi nigah ka tanha maza uthata hai dil rasm-o-rah ka bina to hai pe bas nahin chalta nigah ka ji bhar ke dekh lun to kar is jurm par shahid yun apne sar pe khun na le be-gunah ka rona jo ho to ro le bas ai chashm waqt-e-naza ab aaj khatma bhi hai roz-e-siyah ka pahuncha ke hum ko qabr mein jate hain apne ghar lijiye unhon ne wada kiya tha nibah ka taqdir hashr se hamein lai bahisht mein arman dil mein rah gaya us dad-khwah ka pa-posh naz karti hai un ki zamin par chashmak-zan-e-siphar hai gosha kulah ka dekha na karwan ne palat kar ki kaun hun meri tarah na ho koi wamanda rah ka manzil ke qata karne ka mohkam hua jo qasd ek ek darakht khizr bana meri rah ka dhoe kahan tak is tan-e-khaki ko umr bhar ab ruh ko mile koi gosha nibah ka behtar kahin the mujh se wo mai-khwar saqiya hila jo dhundte rahe afu-e-gunah ka ashkon ka silsila kahin tute bhi ai firaq thak bhi chuke qadam meri fariyaad o aah ka ek tujh pe munhasir nahin ai khizr kar na naz har rah-rau ko takta hai wamanda rah ka rakkha jinan mein bhi hamein maghmum ta-abad iqrar hum se le ke hamare gunah ka izhaar-e-gham kiya to ye us ne diya jawab chehra gawahi deta hai jhute gawah ka ghaugha-e-hashr dil mein samata nahin mere hangama yaad hai mujhe furqat mein aah ka bhijwa diya bahisht mein puchha na dil ka haal kya khub faisla kiya is dad-khwah ka kya jaaniye talash-e-asar mein kahan gai ab tak kahin pata na laga meri aah ka sine mein apne nala o shewan ka shor hai matam hamesha hai dil-e-ghufran-panah ka yusuf ko ai siphar kuen mein gira to de manzur imtihan hai zulekha ki chah ka kyunkar na ahl-e-bazm mein ai 'shad' ho rusukh nemul-badal hun 'rasikh'-e-ghufran-panah ka