tab-e-dil sarf-e-judai ho chuki yani taqat aazmai ho chuki chhutta kab hai asir-e-khush-zaban jite ji apni rihai ho chuki aage ho masjid ke nikli us ki rah shaikh se ab parsai ho chuki darmiyan aisa nahin ab aaina mere us ke ab safai ho chuki ek bosa mangte ladne lage itne hi mein aashnai ho chuki bich mein hum hi na hon to lutf kya rahm kar ab bewafai ho chuki aaj phir tha be-hamiyat 'mir' wan kal ladai si ladai ho chuki