tab-e-hassas meri khar hui jati hai be-hisi ishrat-e-kirdar hui jati hai ye khamoshi ye ghulawat ye bichhadte hue rang sham ek dard bhara pyar hui jati hai aur barik kiye jata hun main mu-e-qalam tez-tar sozan-e-izhaar hui jati hai kuchh to sach bol ki dil se ye giran bojh hate zindagi jhut ka tumar hui jati hai jada-e-fan se guzarna bhi kashakash hai tamam rah khud rah ki diwar hui jati hai soch ki dhup mein jal uthne ko ji chahta hai apne lafzon se bhi ab aar hui jati hai zist yun sham ke lamhon se guzarti hai kabhi khud-ba-khud sharh-e-gham-e-yar hui jati hai kam se kam phunk hi de bujhti hui rakh mein 'saz' aakhiri sans bhi be-kar hui jati hai