hamare pas jaanan aan pahuncha dil-e-be-jaan kun ab jaan pahuncha na howe kyun shor dil ki bansli mein malahat ka salona kan pahuncha kaman-abru ki har tirchhi nigah sin jigar ke todne kun ban pahuncha dikhaya mushaf-e-rukhsar apnan hamara din aur iman pahuncha mujhe kah kakrezi chire wale ki waqt-e-sair-e-na-farman pahuncha mai o jam o gul-e-mutrib hai maujud bahaar-e-wasl ka saman pahuncha dil-e-muflis ne paya wasl ka ganj bhikari kun daras ka dan pahuncha 'siraj' ab ghar tera raushan hua hai magar wo shama-ru mehman pahuncha