tab-e-nazar se un ko pareshan kiye hue aaina-e-jamal ko hairan kiye hue jalte rahe charagh ki surat tamam umr lekin faza-e-gham ko farozan kiye hue teri gali mein jashn-e-bahaaran hai be-khabar aae hain log dil ko gulistan kiye hue saqi bas ek jam-e-sukun chahiye mujhe haalat-e-zindagi hain pareshan kiye hue hum bhi sharik-e-jashn-e-bahaaran hue to hain tar-e-nazar ko sarf-e-gareban kiye hue guzra hun zindagi ki har ek kashmakash se main dil ko harif-e-gardish-e-dauran kiye hue pas-e-wafa ne khud hi gareban ko si diya hum bhi chale the chaak-e-gareban kiye hue dair o haram ke log hamein aa ke dekh len hum hain tawaf-e-kucha-e-jaanan kiye hue baithe hain ajnabi ki tarah hum bhi ai 'mushir' khud ko sharik-e-bazm-e-harifan kiye hue