is shahr ke logon pe khatm sahi khush-talati-o-gul-pairahni mere dil ki to pyas kabhi na bujhi mere ji ki to baat kabhi na bani abhi kal hi ki baat hai jaan-e-jahan yahan fil ke fil the shor-kunan ab nara-e-ishq na zarb-e-fughan gae kaun nagar wo wafa ke dhani koi aur bhi morid-e-lutf hua mili ahl-e-hawas ko hawas ki saza tere shahr mein the hamin ahl-e-wafa mili ek hamin ko jala-watani ye to sach hai ki hum tujhe pa na sake teri yaad bhi ji se bhula na sake tera dagh hai dil mein charagh-e-sifat tere nam ki zeb-e-gulu-kafni tum sakhti-e-rah ka gham na karo har daur ki rah mein ham-safaro jahan dasht-e-khizan wahin wadi-e-gul jahan dhup kadi wahan chhanw ghani is ishq ke dard ki kaun dawa magar ek wazifa hai ek dua padho 'mir'-o-'kabir' ke bait kabit suno sher-e-'nazir' faqir-o-ghani