tab nahin sukun nahin dil nahin ab jigar nahin apni nazar kidhar uthe koi idhar udhar nahin roz shab uthte baithte un ki zaban par nahin koi nahin ki had nahin sham nahin sahar nahin koi yahan se chal diya raunaq-e-baam-o-dar nahin dekh raha hun ghar ko main ghar hai magar wo ghar nahin itni khabar to hai zarur le gae dil wo chhin kar kya hua us ka phir maal is ki mujhe khabar nahin kyun wo idhar udhar phire kyun ye hudud mein rahe teri nazar to hai nazar meri nazar nazar nahin mujh se bigad kar apne ghar jaiye khair jaiye aap ne ye samajh liya aah mein kuchh asar nahin dair ko hum ghataen kyun kabe ko hum badhaen kyun kya hai khuda ka ghar yahi kya wo khuda ka ghar nahin parde se bahar aaiye rukh se naqab uthaiye tab-e-jamal la sake itni meri nazar nahin mujh ko khayal-e-roz-o-shab khak rahe mazar mein aisi jagah hun jis jagah sham nahin sahar nahin tegh kaho sinan kaho qahr kaho bala kaho ahl-e-nazar ki rae mein un ki nazar nazar nahin dar gae ahl-e-ajnuman tir jo aap ka chala is ne kaha idhar nahin us ne kaha udhar nahin roz ke gham ne is tarah khugar-e-zabt-e-gham kiya dard hamare dil mein hai shikwa zaban par nahin puchhte hain wo haal-e-dil tul-e-sukhan se faeda sau ki ye ek baat hai kah dun mujhe khabar nahin un mein kuchh aur baat thi in mein kuchh aur baat hai hazrat-e-'nuh' ka guman hazrat-e-nuh par nahin