wo suraj itna nazdik aa raha hai meri hasti ka saya ja raha hai khuda ka aasra tum de gae the khuda hi aaj tak kaam aa raha hai bikharna aur phir un gesuon ka do-alam par andhera chha raha hai jawani aaina le kar khadi hai bahaaron ko pasina aa raha hai kuchh aise aai hai baad-e-muafiq kinara dur hatta ja raha hai gham-e-farda ka istiqbaal karne khayal-e-ahd-e-mazi aa raha hai wo itne be-murawwat to nahin the koi qasdan unhen bahka raha hai kuchh is pakizgi se ki hai tauba khayalon par nasha sa chha raha hai zarurat hai ki badhti ja rahi hai zamana hai ki ghatta ja raha hai hujum-e-tishnagi ki raushni mein zamir-e-mai-kada tharra raha hai khuda mahfuz rakkhe kashtiyon ko badi shiddat ka tufan aa raha hai koi pichhle pahar dariya-kinare sitaron ki dhunon par ga raha hai zara aawaz dena zindagi ko 'adam' irshad kuchh farma raha hai