taba ishrat-pasand rakhta hun ek dil-e-dardmand rakhta hun bahut kahta nahin main pasti ko apni fitrat buland rakhta hun chashm-e-baatin se dekhta hun main chashm-e-zahir ko band rakhta hun lafz shirin hain aur mani talkh zahr-amez qand rakhta hun kaamyabi muhaal hai 'akhtar' zauq itna buland rakhta hun