tera aasman nawakon ka khazina hayat-afrina hayat-afrina hamari zamin lal-o-gul ka dafina hayat-afrina hayat-afrina hue nam aur nang sab gharq-e-sahba meri mai-gusari ki hogi saza kya tere nam ka ek jura yahi na hayat-afrina hayat-afrina tere wada-e-rizq ki hai duhai agar rizq aazuqa-e-ruh bhi hai to hum to hain mahrum-e-nan-e-shabina hayat-afrina hayat-afrina na sanson mein josh-e-numu ka talatum na marne ke gham mein gudaz-e-tallum ye jina bhi hai koi jine mein jina hayat-afrina hayat-afrina zamin ka kaleja bahut phunk raha hai falak phat pade qulzum-e-khun rawan ho jabin-e-mashiyyat se tapke pasina hayat-afrina hayat-afrina mah-o-mehr-o-anjum falak ke dulare teri mumlikat ke hasin shahzade hamari zamin kaenati hasina hayat-afrina hayat-afrina nahin 'akhtar'-e-zar mayus khud se ki zulmat bhi chhatti hai darja-ba-darja utarti hai rahmat bhi zina-ba-zina hayat-afrina hayat-afrina