tabassum lab par aankhon mein nami hai khuda jaane ye gham hai ya khushi hai jo manzil aaj ahl-e-hosh ki hai wo diwanon ki thukrai hui hai kahan jae thaka-manda musafir tu hi saya tu hi diwar bhi hai hazaron hain sukun-e-dil ke saman ye duniya phir bhi ghabrai hui hai andhere chhu nahin sakte hain mujh ko ki mere sath teri raushni hai zaban kah de to ek hangama ho jae nazar malum kya kya dekhti hai na jaane kab tera daman chhua tha magar hathon mein ab tak tharthari hai wo begana hai utna zindagi se jaise jitna shuur zindagi hai jafaon ne hazaron rang badle wafa apni jagah par aaj bhi hai chalo ai zimma-daran-e-mohabbat faraaz-e-dar par phir raushni hai mere simte hue daman ko 'shaarib' badi hairat se duniya dekhti hai