hum ne suna tha sahn-e-chaman mein kaif ke baadal chhae hain hum bhi gae the ji bahlane ashk baha kar aae hain phul khile to dil murjhae shama jale to jaan jale ek tumhaara gham apna kar kitne gham apnae hain ek sulagti yaad chamakta dard farozan tanhai puchh na us ke shahr se hum kya kya saughaten lae hain soe hue jo dard the dil mein aansu ban kar bah nikle raat sitaron ki chhanw mein yaad wo kya kya aae hain aae bhi suraj dub gaya be-nur ufuq ke sagar mein aaj bhi phul chaman mein tujh ko bin dekhe murjhae hain ek qayamat ka sannata ek bala ki tariki un galiyon se dur na hansta chand na raushan sae hain pyar ki boli bol na 'jalib' is basti ke logon se hum ne sukh ki kaliyan kho kar dukh ke kante pae hain