tabibon se nazar ki chot pahchani nahin jati pareshan hain ki kyon meri pareshani nahin jati kisi surat meri aashufta-samani nahin jati bayaban bas gae aur ghar ki virani nahin jati fana ke ghat tak gham ki sitam-rani nahin jati bahi jati hain aankhen ashk-afshani nahin jati tumhaara hukm hai wo hukm jo tala nahin jata hamari baat hai wo baat jo mani nahin jati khuda shahid hai main apni tabahi ka hun khud bais ab is ko kya karun us ki pareshani nahin jati 'hayat'-e-gham-zada ke dil ki virani ko mat puchho hua hai aisa viran jis ki virani nahin jati