sukun-o-sabr ki duniya mein nam karta ja jo ho saka na kisi se wo kaam karta ja nigah pher ke ja shauq se khuda-hafiz kisi gharib ka qissa tamam karta ja tasawwuraat mein aa aa ke bhagne wale bahisht-e-qalb-o-nazar mein qayam karta ja guzar dunga tere intizar ki ghadiyan mujhe asir-e-gham-e-subh-o-sham karta ja 'hayat' ne to faqat tujh se dil lagaya tha ye kab kaha tha ki jina haram karta ja