tabinda bahaaron ke nazare nahin dekhe tu ne wo chamakte hue tare nahin dekhe kuchh is liye bhi nind hamein aati hai jaldi aankhon ne abhi khwab tumhaare nahin dekhe khud hath milaya hai samundar mein bhanwar se kashti ne talatum mein sahaare nahin dekhe mumkin hai kisi taur koi chaara bhi hota tu ne hi kabhi zakhm hamare nahin dekhe kya kya na sitam mujh pe kiya raat ne aa kar din kaise meri jaan guzare nahin dekhe kya dekh rahe ho ye mohabbat ke karam hain tum ne kabhi taqdir ke mare nahin dekhe