meri basti mein jitni ladkiyan hain khuda ka shukr parde waliyan hain main insan hun farishta to nahin hun so mujh mein bhi yaqinan khamiyan hain tumhaare bin meri haalat hai aisi bina pani ke jaisi kashtiyan hain chalen sochen zara is masale par hamare darmiyan kyon duriyan hain main khud ko kyon bhala samjhunga tanha meri hamdam meri tanhaiyan hain kabhi logon ke chehre bhi padha kar raqam chehron pe bhi sachchaiyan hain hamare apne bhi hain ajnabi se hamari jab se khali jholiyan hain hamare des mein mear-e-izzat nahin insaniyat bas kursiyan hain mari wale bhi aate hain yahan par ki baltistan mein aisi wadiyan hain khayanat mat karo khak-e-watan se ki tere tan pe khaki wardiyan hain chhapi hai in mein zalim ki tabahi lab-e-mazlum par jo siskiyan hain ise kahte hain phulon se mohabbat hamesha gulsitan mein titliyan hain na ghuro rah chalti ladkiyon ko tumhaare ghar mein bhi to betiyan hain wo jin ko dekh kar rab yaad aae jahan mein aisi bhi kuchh hastiyan hain utha lae to ho tum sipiyon ko muzayyan motiyon se sipiyan hain na ghabrana ai 'nuri' mushkilon se ki mushkil mein chhupi aasaniyan hain