tabir ko tarse hue KHwabon ki zaban hain

tabir ko tarse hue khwabon ki zaban hain
taswir ke honton pe jo boson ke nishan hain

aankhon mein tar-o-taza hain jis ahd ke manzar
hum log usi ahd-e-guzishta mein jawan hain

nilam hamara bhi isi shart pe hoga
hum raunaq-e-bazar hain jaise hain jahan hain

dil tha ki kisi saat-e-pur-khun mein hua sard
aankhen hain ki ab tak teri jaanib nigaran hain

diwar pe likkha hai ki ab subh na hogi
aur saya-e-diwar mein hum raqs-kunan hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close