aashiq to bad-nasib hai is mein kalam kya rakkha hai tu ne ye to bata apna nam kya mashuq ki nigah mein ulfat ka kaam kya badnam kar rahe ho mohabbat ka nam kya sau bar aap kah chuke hum se na boliye ye ho gaya hai aap ka takiya-kalam kya roz-e-azal ke mast ko pine se kaam hai us ki nazar mein hurmat-e-mah-e-siyam kya huren balaen leti hain mashuq ki mere paida na tha bahisht mein husn-e-tamam kya wo khud pilaen main na piyun meri kya majal is mein sawal-e-subh hai kya zikr-e-sham kya nazron mein sare tai hon mohabbat ke karobar hum tum hain samne to payami ka kaam kya guzri hai apni umr yunhi intizar mein aaega 'shad' un ka koi ab payam kya