tabir se mahrum tere khwab bahut the sada si kahani thi magar bab bahut the aa lagti kinare se meri kashti-e-jaan bhi shayad ki mere panw mein girdab bahut the be-nam hue nam ki takrim ke hathon pahchanta kya koi ki alqab bahut the afsos tamawwuj unhen sahil pe na laya anmol guhar warna tah-e-ab bahut the har lahza badalti hui rut bas mein nahin thi joban pe thi barsat to shadab bahut the kuchh hum bhi bahut se gae namnak hawa mein kuchh tum bhi to aamada-e-ijab bahut the hum apne hi paband nahin the kabhi 'yasir' uth aae ki taqrib ke aadab bahut the