tabiron ko DhunD rahi hun KHwabon ki parwah nahin

tabiron ko dhund rahi hun khwabon ki parwah nahin
manzil par hi nazar hai meri raston ki parwah nahin

us ko kya malum ki sadiyan lamhon se hi banti hain
sadiyon ki hai fikr use in lamhon ki parwah nahin

apne-pan ka matlab bhi to logon ko malum nahin
mera apna wo hai jis ko apnon ki parwah nahin

main ne dil mein than liya tha zanjiron ko todungi
lekin mere dil ne puchha rishton ki parwah nahin

hum ne khae zakhm 'wila' hum un se dur hi rahte hain
phulon se wo khele jis ko kanton ki parwah nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close