yahi sada mujhe aksar sunai deti hai

yahi sada mujhe aksar sunai deti hai
sukun kis ko buton ki khudai deti hai

wo aadmi jo hamesha mere khilaf raha
usi ki mujh pe hukumat dikhai deti hai

mohabbaten hi sikhati hain har sabaq lekin
bahut se dars hamein bewafai deti hai

ye ungliyan hi qalam ban ke chalne lagti hain
ye chashm-e-nam hi mujhe raushnai deti hai

kisi ke ishq ne yun dil ko kar diya raushan
ki raushni si har ek su dikhai deti hai

suluk ek sa karti nahin hai ulfat bhi
milan kisi ko kisi ko judai deti hai

nahin hai dur meri ruh ke qarib hai wo
jhalak usi ki to mujh mein dikhai deti hai

na aisi duniya se ummid ai 'wila' rakhna
jo nekiyon ke sile mein burai deti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close