tabish-e-chashm-e-tar mein rahte hain

tabish-e-chashm-e-tar mein rahte hain
aks diwar-o-dar mein rahte hain

dafn ho kar bhi jaan se pyare
dil ke viran nagar mein rahte hain

manzilon se nikal ke aage hum
yaad ki rahguzar mein rahte hain

karwan kab hamare sath raha
hum to tanha safar mein rahte hain

un se bar-e-digar nahin nisbat
wo jo bar-e-digar mein rahte hain

kyon masiha ka intizar karen
hum dua ke asar mein rahte hain

tute taron ki raushni ki tarah
kitne chehre nazar mein rahte hain

chehragi ke tamam-tar chehre
dast-e-aina-gar mein rahte hain

sab kamal-o-zawal ke pahlu
apni chashm-e-hunar mein rahte hain

puchh kar taeron se aksar hum
ek ghanere shajar mein rahte hain

ishq ke raaz khushbuon ke payam
sab nasim-e-sahar mein rahte hain

zulmaton ko ujalne wale
nur-e-fath-o-'zafar' mein rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close