'tabish' hawas-e-lazzat-e-azar kahan tak rahat se ye gham phir bhi mere yar kahan tak har roz ek aawaza anal-haq ka lagaen dekhen to ki hai silsila-e-dar kahan tak har raste se manzil-e-hasti hai bahut dur jaega mere sath gham-e-yar kahan tak han tana-e-aghyar ke nashtar hi se khul jae ek zakhm rahega lab-e-guftar kahan tak hain is ke talluq se aziz ahl-e-jahan bhi le jaegi aakhir hawas-e-yar kahan tak aaina-dar-aina dar-aina tera husn hairan hon tere talib-e-didar kahan tak hoti hi nahin subh-e-qayamat bhi numudar jagenge shab-e-hijr ke bimar kahan tak phaili hui har samt kadi dhup hai 'tabish' jaega koi saya-e-diwar kahan tak