taDap bhi hai meri aur bais-e-sukun bhi hai

tadap bhi hai meri aur bais-e-sukun bhi hai
tera badan mera hasil bhi hai, junun bhi hai

badan pe daudti aankhon ki pyas ghaur se padh
ki aankh zarra-e-sahra-e-andarun bhi hai

qubul kar nigah-e-paemal khush-badani
meri ana ka ye parcham hai, aur nigun bhi hai

meri nigah bhi bahki hui hai kuchh, aur kuchh
haya-e-husn rukh-e-yar par fuzun bhi hai

tumhaari did ki bhi hai mahak in aankhon mein
isi nawah mein khushbu-e-ju-e-khun bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close