tadap to aaj bhi kuchh kam nahin hai magar ye chashm ab pur-nam nahin hai hue jab fart-e-gham se khushk aansu wo ye samjhe ki mujh ko gham nahin hai dhuan sa ek utha karta hai dil mein teri yaad aah ab bhi kam nahin hai wo rahen bhi koi rahen hain yaro ki jin mein koi pech-o-kham nahin hai rawan hun yun to ab bhi su-e-manzil qadam uthte hain lekin dam nahin hai bhala wo zindagi kya zindagi hai khushi ke sath jis mein gham nahin hai hua khamosh ye 'maghmum' kaise hai na-mumkin ki us ko gham nahin hai