tadapte dil ki kashti muflisi mein dub jaegi mohabbat ban ke hasrat bebasi mein dub jaegi isi ummid par sahta raha main dhup ki yurish kisi din meri hasti chandni mein dub jaegi khuda ka shukr hai bachche mere tahzib wale hain ye dar tha nasl apni tirgi mein dub jaegi yahi aasar lagta hai na mil paenge hum donon tamanna wasl ki gham ki nadi mein dub jaegi kahan tak dastan-e-gham sunaen aap ko 'irfan' tabiat aap ki phir bekali mein dub jaegi