nai dosti ke fasane bahut hain magar dushmani ko bahane bahut hain jahan aurten hukmran ho gai hain wahan aalami tane-bane bahut hain sanbhalne ko ahl-e-watan ke liye bhi dikhae jo jalwe khuda ne bahut hain hai star t w ka tohfa ye shayad ki bachche hamare siyane bahut hain ghazal wo jo murda dilon ko jila de gulon bulbulon ke tarane bahut hain salamat rahe 'shad' raushan-zamiri to mehnat ke do-chaar aane bahut hain