tadapte dil ko kafi hai bas itna wahima rakhna bichhadne wala lautega hamesha hausla rakhna chale jaenge hum bhi dosto duniya-e-fani se faqat itni guzarish hai dua ka silsila rakhna ki hum bad-bakht logon mein bas ek ye hi burai hai duaen der se lagti hain jaani hausla rakhna tumhein khushiyan mubarak hon hamare gham ziyaada hain tumhein talqin hai utni ki hum se fasla rakhna ki pani jitna gadla ho bujha deta hai aatish ko hamare jaison se bhi yar thoda wasta rakhna bichhad kar tum kahin milna to hans kar baat kar lena ba-juz is ke nahin koi hamein bhi rabta rakhna