tadapti bijliyon se tira-samani nahin jati chaman is tarah ujda hai ki virani nahin jati zarurat hai kisi musa ki phir aiman ki wadi mein wo yun aawaz dete hain ki pahchani nahin jati teri taswir kya dekhi ki khud taswir ban baithe hamare dida-e-hairan ki hairani nahin jati nae saghar naya saqi naya andaz-e-mai-khana qadamat ki yahan ab baat kuchh mani nahin jati ba-juz takhrib insan ki samajh mein kuchh nahin aata zamin se is liye takhrib-samani nahin jati khushamad ki hawa mein phul sab chunne lage 'saqi' dar-e-gulchin ki tum se khak bhi chhani nahin jati