ye aisa sach hai nahin jis mein koi shak baba baghair pyar ke hai zist be-namak baba talab thi jis ko bahar-gam manzil-e-maqsud guzar gaya rah-e-mushkil se be-jhijak baba qarib-tar hai maqam-e-khuda se wo phir bhi bashar se badh ke nahin rifat-e-malak baba shahid ho gae mansur haq-parasti mein chamak raha hai lahu un ka aaj tak baba zamane bhar ki bahut khak chhan li hum ne pahunch sake hi nahin dil ki rah tak baba