tadpa kiya jo ye dil-e-muztar tamam raat kati hai main ne kya kahun kyunkar tamam raat apne makan pe jab mah-e-paikar nahin mila phirta raha raqibon ke ghar ghar tamam raat lad kar jo mujh se wo sitam-ara chala gaya kati hai main ne tare hi gin kar tamam raat pichhle pahar se aankh khuli be-qarar hun aaya jo khwab mein mah-e-anwar tamam raat apne makan se us ne nikala jo raat ko le kar phira main kandhe pe bistar tamam raat is dard-e-dil se main jo karaha kiya dila bechain mere sath bana ghar tamam raat furqat mein meri zindagi dushwar ho gai main karwaten badalta hun din bhar tamam raat kyunkar na naz apne muqaddar pe ho haqir dekha jo khwab-e-saqi-e-kausar tamam raat