puchh lo gar jhuT kahta hun dil-e-nakaam se

puchh lo gar jhut kahta hun dil-e-nakaam se
subh ki hai aaj bhi ro ro ke main ne sham se

sabiqa hai roz-e-farda us but-e-khud-kaam se
qabr mein sone de ai dil do ghadi aaram se

ro rahe hain ab to dushman bhi janaze par khade
aap bhi gardan utha kar dekh lete baam se

aa gai hai yaad mujh ko gardish-e-chashm-e-nigar
saqiya nazzara-e-daur-e-mai-e-gulfam se

koi mar jae ki furqat mein rahe zinda ba-gor
un ko apne kaam se matlab hai apne nam se

chhut ke peshani ki afshan dekhen kis kis par gire
bijliyan nahaq giraate hain wo baithe baam se

baad murdan ho gali us ki ki dasht-e-khar-khar
wan bhi rahte chain se aur yan bhi hain aaram se

zahr ho lekin wo mujh ko apne hathon se to de
yun to matlab jam se hai aur na daur-e-jam se

aashiqi achchhi sahi anjam-e-ishq achchha nahin
ai 'haqir' ab darguzar kar is khayal-e-kham se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close