taghaful be-niyazi ka gila kafi nahin hai mera rasta hi roko ab sada kafi nahin hai ye gahri kali aankhen dekh to kya kah rahi hain inhen paband rakhne ko wafa kafi nahin hai tumhaare kasa-e-ulfat mein kuchh sikke uchhaale tumhaara dil lubhaya ye sila kafi nahin hai? zamini baat hai thahregi aakhir justuju par hamesha sath rahne ki dua kafi nahin hai nibhana hai bahar-surat ye karobar-e-duniya ki ishq-o-ashiqi ka silsila kafi nahin hai chalo achchha hua raftar to kam ho gai par bichhad jaane ko ab bhi fasla kafi nahin hai jamal-e-kaenati moajiza hai husn-e-kun ka yahan par irtiqa ka falsafa kafi nahin hai