ye daur mujh se khirad ka waqar mange hai dil ab bhi shauq ke lail-o-nahaar mange hai jahan mein kis ko gawara hui hai fikr ki dhup har ik, koi shajar-e-saya-dar mange hai zaban lala-o-gul mein basi hui hai magar zamana lafz mein khanjar ki dhaar mange hai akele-pan ka ye ehsas ham-nafas ki talash badhi hui jo ye talkhi hai pyar mange hai ye aadmi mere khwabon ka sath kya deta haqiqaton se jo akasr farar mange hai ab in mein apna lahu ho ki koi shokh kiran waraq jo sada hai naqsh-o-nigar mange hai hua kahan abhi sadiyon ke jabr se aazad khudai par jo bashar ikhtiyar mange hai bhikariyon ko yahan bhik kaun deta hai hai sada-lauh jo duniya se pyar mange hai wo dida-war jise pahchanti nahin mahfil teri nazar se faqat e'tibar mange hai