tah mein jo rah gae wo sadaf bhi nikaliye tughyaniyon ka hath samundar mein daliye apni hadon mein rahiye ki rah jae aabru upar jo dekhna hai to pagdi sambhaaliye khushbu to muddaton ki zamin-doz ho chuki ab sirf pattiyon ko hawa mein uchhaaliye sadiyon ka farq padta hai lamhon ke pher mein jo gham hai aaj ka use kal par na taliye aaya hi tha abhi mere lab pe wafa ka nam kuchh doston ne hath mein patthar utha liye kah do salib-e-shab se ki apni manae khair hum ne to phir charagh saron ke jala liye duniya ki nafraten mujhe qallash kar gain ek pyar ki nazar mere kase mein daliye mahsus ho raha hai kuchh aisa mujhe 'qatil' nindon ne jaise aaj ki shab par laga liye