ne shikwa-mand dil se na az-dast-dida hun is bakht-e-na-rasa se aziyyat-kashida hun ku khanda ku tabassum o ku fursat-e-sukhan is anjuman mein hain lab-e-hasrat-gazida hun ne kaam ka kisi ke na mujh ko kisi se kaam hairan hun kis liye main yahan aafrida hun hasti ko ne sabaat na jine ka e'timad kis ki umid par koi dam aaramida hun mera to kaam ek palak mein tamam hai manind-e-ashk bar-sar-e-mizhgan rasida hun gulchin abas nigah rakhe hai meri taraf main is chaman mein jun gul-e-rang-e-parida hun saunpun main kyun na apna gareban ajal ke hat ai umr zindagi se main daman-kashida hun is waste tu qadr meri jaanta nahin han in tere ghulamon mein be-zar kharida hun mera bhi dil shagufta kabhu ho nasim-e-wasl bahuton ka is chaman mein main ab kharwida hun pas-e-adab se us ke qadam tak nahin majal warna na pa-shikasta na dast-e-burida hun dushman se bhi tawazo mein rakhta nahin daregh tazim ko adu ki main tegh-e-khamida hun rone talak to kis ko hai fursat yahan sahab tufan hua bhi jo tuk ek aab-dida hun yaran dimagh ko jo karun tum se ikhtilat is dasht mein main wahshi-e-az-khud-ramida hun kya puchhte ho dard ko 'hatim' ke dostan jo kuchh ki hun so hun gharaz aafat-rasida hun